Posts

Showing posts from September 21, 2026

CSK ke New Head Coach Zaheer Khan ki entry ne macha diya surprise Dhoni ke saath ab Chennai ka naya plan kya hoga

Image
Chennai Super Kings ne IPL 2027 se pehle ek aisa faisla kar diya hai jiski charcha ab har CSK fan ke beech hone wali hai Team ne Zaheer Khan ko apna naya Head Coach bana diya hai Naam bada hai cricket ka experience bhi zabardast hai lekin sach kahen to Head Coach ki race mein Zaheer Khan ka naam utna saamne nahi aa raha tha Isi wajah se CSK ka ye faisla aur bhi khaas ban gaya hai Pichhle kuch samay se CSK ke naye Head Coach ko lekar alag-alag naam charcha mein the. Brandon McCullum, Eoin Morgan, Michael Hussey Suresh Raina Hemant Badani Or Ms dhoni Khud bhi Lekin jaise naamon ki baat ho raha tha Lekin jab final announcement hua to Chennai ne sabko peeche chhodte hue Zaheer Khan ke naam par bharosa jataya Ab sawaal sirf itna nahi hai ki Zaheer Khan Head Coach ban gaye Asli sawaal ye hai ki CSK ke aage ke safar ko Zaheer kis tarah badalenge CSK ne Zaheer Khan ko hi kyun chuna Dekho CSK ke liye ye koi chhota faisla nahi hai Stephen Fleming ke lambe daur ke baad team ke coaching setup mein...

Asian Games 2026 India vs Pakistan Table Tennis Women’s Team ne 3-0 se machaya dhamal ab Men’s Team ki baari

Image
Asian Games 2026 mein aaj India vs Pakistan ka muqabla cricket mein nahi balki Table Tennis mein dekhne ko mil raha hai Subah India Women’s Team ne Pakistan ko 3-0 se hara kar din ki shuruaat zabardast andaaz mein ki hai aur ab dopahar 3:30 PM IST par India Men’s Team bhi Pakistan ke saamne utarne wali hai India-Pakistan ka naam saamne aate hi match ko lekar excitement badh hi jaati hai lekin Asian Games jaise bade stage par ye takkar aur bhi khaas ho jaati hai Subah Women’s Team ne apna muqabla khatam kar diya hai aur ab sabki nazar Men’s Team ke match par tik gayi hai India Women vs Pakistan Women Subah hi 3-0 se jeet gaya India Aaj subah kareeb 6:15 AM IST se India Women’s Table Tennis Team aur Pakistan Women’s Team ke beech muqabla hua. Indian players ne shuruaat se hi Pakistan par dabav banaye rakha aur match ko 3-0 se apne naam kar liya India ki taraf se Sutirtha Mukherjee, Sreeja Akula aur Diya Chitale jaise players action mein nazar aaye Sutirtha ne Alina Khan ke khilaf 11-3, 1...