IPL Ke 10 Sabse Bade Talent Hunt Gali Cricket Se Team India Tak Ka Safar
Aaj jab hum TV ya phone par IPL chalate hain toh hamari nazar seedhe bade stars par hi jaati hai Stadium khacha-kach bhara hota hai Laakhon Croron log match dekh rahe hote hain aur har taraf bas bade naamon ki hi hawa hoti hai Lekin sach bolun toh IPL ki asli kahani sirf trophy mota paisa ya glamour ki nahi hai IPL ki sabse badi taqat toh ye hai ki isne un laundo ko pehchaan di hai jinhe kal tak koi ghaas tak nahi poochhta tha Apne Bharat mein talent ki koi kami thodi hai! Har gali, har colony aur har chhote kasbe mein aise khiladi mil jaenge jo subah-subah kit uthakar bas yehi sapna dekhte hain ki ek din India ki blue jersey pehnenge Par bhai sapna dekhna ek baat hai aur wahan tak pahunchna bilkul alag level ka sangharsh. Pehle ke zamane mein domestic cricket mein saalon ghisna padta tha, tab kahin jaakar national selectors ki nazar padti thi. Lekin Jab se IPL aaya hai, poora scene hi palat gaya hai Chalo aaj unhi laundo ke safar ko yaad karte hain jinki kismat IPL ne poori tarah bada...