Posts

Showing posts from October 16, 2026

India vs Sri Lanka ODI T20 Series Schedule Announced janiye kab aur kahan Khele jaenge ODI Or T20 ke mukabale

Image
Cricket fans ke liye December ka mahina kaafi exciting hone wala hai kyunki India aur Sri Lanka ke beech ODI aur T20 international matches ki series kheli jayenge Is series mein dono teams ke beech pehle 3 ODI matches honge aur uske baad 3 T20 international muqable dekhne ko milenge Agar Aap bhi India vs Sri Lanka series ka intezar kar rahe ho aur jaana chahte ho ki kaunsa match kis din khela jayega aur muqabla kis stadium mein hoga to yahan tumhe poora schedule mil jayega Humne teeno ODI aur teeno T20 matches ki dates venue aur Indian time ke hisaab se timing ek jagah di hai taaki tumhe alag alag jagah details dhoondhne ki zaroorat na pade Aur aur ham log ko ODI mein Roko ki wapasi bhi dekhne ko milega Kyunki Newzealand series ke bad Sidha ham log ko Roko shrilanka ke ODI match mein hi dikhenge isliye ham log Rohit aur Virat Ka besabri se Intezar Karenge ODI matches ka India vs Sri Lanka ODI Series 2026 full Schedule India aur Sri Lanka ke beech ODI series ka aagaaz 13 December se hog...

India vs West Indies 5th T20 Kaise Jeetega India Panchwa Match Aaiye Jan Lete Hain

Image
Cricket ke sabhi deewane bhaiyon ke liye yeh aakhri mauka hai jab mukabla aisi jagah par khada hai jahan dono teams ne ab tak zabardast takkar di hai aur series do do se barabar hai aur yeh paanchwa aur aakhri t20 match dono ke liye hi sab kuch daav par lagane jaisa ho gaya hai jahan ek taraf team india chahegi ki wo apna best dekar series ko apne naam kare toh wahi doosri taraf west indies bhi koi kasar nahi chhodne wali hai kyuki pichle chaaron match mein dono taraf se jo khunkhar khel dekhne ko mila hai usne sabhi fans ka dil jeet liya hai aur ab sabhi ki nigahein is aakhri aur sabse bade mahamukable par tiki hui hain jo ki kal yaani 17 aktoobar 2026 ko khela jayega aur ismatch ki saari rochak baatein hum ek ek karke jaan lete hain taaki pata chal sake ki kaun kis par bhaari padne wala hai Kaise Jitega India Panchwa Match Aur Kya Hoga Strategy Team india ke liye is aakhri aur decisive match ko jeetne ke liye ek dam solid plan ke sath utarna padega kyuki pichle match mein team india ...