India Vs New Zealand 4th T20 Captain Ki Rannitik Bhool
IND vs NZ Series Jeetne Ka Nasha Aur Toss Jeet Kar Pehle Bowling Chunne Ki Badi Bhool Bharat aur New Zealand ke beech khele gaye chothe T20 mukable me bhartiya team ko 87 ranso se ek karari haar ka samna karna pada hai Series par pehle hi 3-0 se kabja jamane ke baad captain aur team management ne bench strength ko aazmane ka mauka ganwa diya aur wahi purani playing eleven ke sath utar aaye Halanki team me do badlav zaroor hue the jahan chot ke baad wicketkeeper batsman Ishan Kishan ki wapsi hui aur Bhuvneshwar Kumar ki jagah pacer Mayank Yadav ko mauka mila lekin baki saare khiladi wahi purane utare gaye Auckland ke Eden Park ka maidan apni choti boundary aur ranso ki barish ke liye jana jata hai, jahan toss jeet kar pehle bowling karne ka faisla ulta pad gaya Series apne naam ho chuki thi aise me baki baithhe hue yuva khiladiyon ko rest dekar unki jagah dusre naye players ko maidan me utarne ka yeh sabse sunehra mauka tha jiska fayda nahi uthaya gaya Pichle match me mahaj 13 overon me...