Cricket mein Net Run Rate kya hota hai aur iska hisaab kaise lagaya jata hai aaiae Jante Hain
Cricket mein kai baar aisa hota hai ki tournament ke aakhri match tak do teams ke points barabar ho jate hain aur phir fans ke beech ek hi baat ki charcha shuru ho jati hai ki kaunsi team agle round mein jayega Kisi team ne zyada match jeete hote hain ya dono teams ke points barabar hote hain to phir Net Run Rate yani NRR ka naam saamne aata hai Lekin bhai ye Net Run Rate aakhir hai kya aur iska hisaab kaise lagta hai Kya sirf zyada run banane se NRR badhta hai ya kam overs mein target haasil karne se bhi team ko fayda hota hai Aaj isi baat ko bilkul aasaan tareeke se samajhte hain Net Run Rate ka matlab kya hota hai Net Run Rate ko chhote naam se NRR kaha jata hai Ye limited overs cricket mein istemal hone wala ek hisaab hai jo batata hai ki koi team apne mukable mein kitni tezi se run bana rahi hai aur uske khilaaf khelne wali teams kitni tezi se run bana rahi hain Aasaan shabdon mein samjho ki agar koi team jaldi jaldi run banati hai aur saamne wali team ko kam run par rok deti hai ...