Yuzvendra Chahal ka bada elan red ball cricket ko kaha alvida
Yuzvendra chahal ne ab red ball cricket yani first class cricket se hamesha ke liye alvida keh diya hai aur unka yeh faisla turant prabhav se lagu bhi ho gaya hai iske sath hi unke cricket career ka ek lamba aur shandar red ball adhyay hamesha ke liye band ho chuka hai halanki sabse badi rahat ki baat yeh hai ki chahal aage bhi white ball cricket khelna jari rakhenge aur unka safed gend ke sath safar abhi chalta rahega unhone apna aakhri red ball mukabla lords ke maidan par Northampton shore ke liye khela tha jo ki unke career ka ek ahem pal raha bachpan ka sapna aur red ball ka safar jab life me pehli baar hath me cricket ball aayi thi tab umar sirf das saal ki thi aur tab yeh socha bhi nahi tha ki is khiladi ka is khel ke sath itna gehra lagav ho jayega red ball cricket unke liye sirf ek format nahi tha balki isne zindagi ke har mushkil daur me dat kar khade rehna sabr rakhna aur maidan par tike rehkar mehnat karna sikhaya hai lords ke maidan par jab aakhri first class ...