IPL Ne Bharatiya Cricket Ko Kaise Badal Diya Sach Jo Aksar Charcha Mein Nahi Aata
IPL ki shuruaat 2008 mein hui thi aur Jab 2008 mein IPL ki pehli gend phenki gayi thi tab sach bataun toh kisi ne socha bhi nahi tha ki ye tournament aage chal kar kitna bada bawaal machane wala hai. Kai logon ko laga tha ki yaar ye bas ek naya T20 tamasha hai do chaar saal chalega aur phir logon ka interest kam ho jayega Lekin aaj lagbhag do dashak baad jab hum peeche mudkar dekhte hain toh samajh aata hai ki IPL ne sirf ek tournament ke roop mein safalta hasil nahi ki, balki Bharatiya cricket ki soch, taiyari, talent ki pehchaan aur players ke career ka poora raasta hi badal diya Talent ki khoj se lekar khiladiyon ke mindset tak, IPL ne sab kuch aisi speed se badla ki poori duniya dekhti reh gayi. Aaiye baat karte hain us sach ki jo aksar samachar aur TV charchaon mein dab kar reh jata hai Chhote Shahron Ke Ladke Aur Raato-Raat Kismat Badalne Ka Jadu IPL se pehle Bharat mein talent ki kami kabhi nahi thi. Har gali, har mohalle mein ek se badhkar ek cricketer mil jata tha. Ranji T...