Cricket Football Aur Golf Ka Chakkar Kyun Ek Aam Insaan Ke Bas Ka Nahi Hai Golf
kabhi socha hai ki jab bhi hum sports ki baat karte hain toh hamare dimaag mein sabse pehle kya aata hai Ya toh gali-gali mein bat ball lekar ghumte hue bacche dikhenge ya fir TV screen par Messi ya Ronaldo ka goal dekhne ke baad doston ke beech hone wali chil-poh Cricket aur football toh bhai aam logo ke khoon mein bas chuke hain Inhe khelne ke liye na toh kisi bade mahal ki zaroorat hai aur na hi hazaaron rupaye ki kit ki Gali ke nukkar se lekar bade stadium tak yeh dono games har jagah chalte hain
Lekin zara socho in sab ke beech mein ek aur game hai jo chupchap bade bade shahar ke posh ilakon mein VIP loga khelte hain woh hai Golf
Jab pehli baar kisi ne TV ya reel par golf dekha hoga toh dimaag mein ek hi sawal aaya hoga yeh game hai ya amiro ka koi secret club Isko itni kam ahmiyat kyun milti hai India mein Aur sabse bada sawal yeh itna zyada mahanga kyun hai ki aam insaan iske aas-pass bhi nahi bhatak sakta Aaj iski poori kundali nikalte hain aur dekhte hain ki is game ka asli sach kya hai
Kahan se shuru hua ye hame History kya hai
Sabse pehle yeh samajhte hain ki yeh ajeeb sa game aaya kahan se jisme ek choti si ball ko bohot door bane ek chote se hole mein dalna hota hai
Iska asli itihaas jude hai Scotland se Aaj se sadiyon pehle wahan ke logo ne isey shuru kiya tha. Lekin isko poori duniya mein failane ka credit jata hai Angrezo (Britishers) ko Jab Britishers ne duniya bhar par raj kiya, toh woh apne sath apni whiskey aur apna golf bhi le gaye
India mein jab Angrez aaye, toh unhe apne manoranjan ke liye kuch aisi jagah chahiye thi jahan woh shanti se time pass kar sakein Isliye unhone Kolkata Mumbai aur Delhi jaise bade shaharon mein bade-bade golf course banaye Tab se lekar aaj tak golf ek aisi cheez ban gaya jo aam logo ki pahunch se hamesha door hi raha
Itna Mahanga Kyun Hai Golf Asli Kahani Yahan Hai
agar aap cricket khelna chahta hai toh 200 rupaye ka bat aur ek tennis ball le aa poori gali champion ban jayega Football ke liye bhi ek leather ya rubber ki ball kaafi hai Lekin agar tujhe golf khelna hai toh tera bank account khali hona tay hai. Iske itne mahange hone ke peeche kuch solid reasons hain
Golf Kit (Equipment): Iske jo dande hote hain na, unhe Clubs kehte hain Ek acche brand ka pura set lakhon rupaye ka aata hai Aur ball bhi aisi-waisi nahi hoti ek baar kho gayi ya fat gayi, toh samajh le tera thoda sa nuksaan ho gaya
Golf Course Bade Meelon Me Faile Maidan: Cricket ya football ke liye ek ground chahiye hota hai jahan mitti ya ghaas hoti hai Par golf ke liye chahiye ek Golf Course jo acres ke hisab se faila hota hai Uski ghaas ko roz kaatna usme paani dena aur usko ekdum billiard table jaisa smooth rakhna is par mahino ka kharcha lakhon-krodo mein hota hai
Entry aur Membership Fees: Aap achanak se jaakar kisi golf course par apna bat-ball lekar nahi khel sakta. Wahan ki membership lene ke liye badi-badi entry fees deni padti hai jo aam aadmi ki annual income se bhi zyada ho sakti hai. Wahan ke club house ke rules aur dress code hi itne sakht hote hain ki aam banda wahan jane se pehle chaar baar sochega
Kya Yeh Garibo ka Game Nahi Hai
Bhai iska seedha aur ek line ka jawab hai Nahi bilkul nahi
Sach kadwa hai par sach yahi hai ki golf kabhi bhi aam ya garib aadmi ka game tha hi nahi aur na hi shayad kabhi banega. Jiss khel mein sirf entry lene ke liye itna paisa lag jaye, jahan ek bar khelne ki cost ek aam parivaar ke mahine ka kharcha ho, wahan garib aadmi ke jaane ka toh sawal hi paida nahi hota
Yahi wajah hai ki isko Rich Man's Game yaani amiro ka khel kaha jata hai. Yahan log khelne se zyada apni networking karne, business deals final karne aur status dikhane jate hain Wahan ek alag hi sannata hota hai jahan zordar chillane ya shor machane ki koi jagah nahi hoti
India Mein Iska Kya Scene Hai
India mein jahan cricket ek religion ki tarah hai aur football ke liye deewangi din-ba-din badh rahi hai wahan golf ko wo pop culture wali jagah kabhi nahi mili
Log isko isliye bhi pasand nahi karte kyunki yeh dekhne mein thoda boring lagta hai ek ball ko maro aur uske peeche-peeche meelon chalo Isme wo thrill aur masala nahi milta jo ek IPL ke match mein ya Manchester United aur Arsenal ke match mein milta hai
Halanki, kuch kamaal ke khiladiyon ne India ka naam roshan kiya hai jaise Jeev Milkha Singh Anirban Lahiri aur Aditi Ashok jinhone international level par badiya perform kiya hai. Inhi ki wajah se thoda bohot craze youth mein aaya hai par fir bhi yeh abhi tak aam logo ke dilon mein jagah nahi bana paya hai
Khelna Chahiye Ya Nahi
baat yeh hai ki agar aap ke paas paisa hai shanti pasand hai aur ekdum class wali life jeeni hai toh golf tera favorite ban sakta hai Lekin agar tu normal middle class family se hai jise doston ke sath shor sharaabe mein khelna pasand hai toh bhai apne liye gali cricket aur turf wala football hi sabse best hai
Golf apni jagah amiro ka shauk hai aur wahi rahega aap iske baare mein kya sochna hai mujhe comments apni Rai Jarur share Karen aur apne sports lover doston ke sath yah update share karna bilkul Bhi Na Bhule aur cricket Or sports Ki Har live update aur romanchak hisson ke liye Hamare Sath Bane Rahe cricspothindi. in par
...Author: Shanu Tiwari...
Comments
Post a Comment