IPL Winners List 2008-2026 Kaun Bana Champion Kaun Raha Runner-up Dekhiye IPL History Ka Pura Safar
IPL ki kahani sirf trophies jeetne ki kahani nahi hai. Is league ne har season cricket fans ko kuch aise pal diye hain, jinhe bhoolna aasaan nahi hai. Kabhi final ek run se tay hua, kabhi ek wicket ne poora match palat diya, aur kabhi kisi ek khiladi ne apni zabardast performance se final ka hero ban kar sabka dil jeet liya
2008 mein jab IPL ka safar shuru hua tha, tab shayad kisi ne nahi socha hoga ki aane wale saalon mein ye tournament duniya ki sabse badi T20 leagues mein se ek ban jayega. Rajasthan Royals ne pehle hi season mein Chennai Super Kings ko hara kar trophy apne naam ki. Uske baad Mumbai Indians, Chennai Super Kings, Kolkata Knight Riders, Sunrisers Hyderabad, Gujarat Titans aur Royal Challengers Bengaluru jaise kai teams ne apna naam IPL champions ki list mein joda
To chaliye 2008 se 2026 tak IPL ke poore safar ko ek nazar mein samajhte hain
IPL Winners List 2008 Se 2026 Tak2009 Deccan Chargers ne Royal Challengers Bengaluru ko 6 runs se haraya. Johannesburg ke Wanderers Stadium mein khele gaye final mein Anil Kumble Player of the Match rahe
2010 Chennai Super Kings ne Mumbai Indians ko 22 runs se hara kar apna pehla IPL title jeeta Suresh Raina final ke Player of the Match rahe
2011 Chennai Super Kings ne Royal Challengers Bengaluru ko 58 runs se haraya. Ye final Chennai ke MA Chidambaram Stadium mein hua aur Murali Vijay ne match-winning performance di
2012 Kolkata Knight Riders ne Chennai Super Kings ko 5 wickets se hara kar apni pehli IPL trophy jeeti Manvinder Bisla final ke hero rahe
2013 Mumbai Indians ne Chennai Super Kings ko 23 runs se hara diya. Eden Gardens mein hue final mein Kieron Pollard Player of the Match rahe
2014 Kolkata Knight Riders ne Kings XI Punjab ko 3 wickets se hara kar doosri baar trophy jeeti. Manish Pandey ne final mein shandaar pari khelkar Player of the Match award jeeta
2015 Mumbai Indians ne Chennai Super Kings ko 41 runs se hara kar apna doosra IPL title jeeta Rohit Sharma Player of the Match rahe
2016 Sunrisers Hyderabad ne Royal Challengers Bengaluru ko 8 runs se hara kar pehli baar IPL trophy apne naam ki. Ben Cutting final ke sabse bade star rahe
2017 Mumbai Indians ne Rising Pune Supergiant ko sirf 1 run se hara diya. Ye IPL history ke sabse romanchak finals mein se ek raha. Krunal Pandya Player of the Match rahe
2018 Chennai Super Kings ne comeback karte hue Sunrisers Hyderabad ko 8 wickets se hara diya. Shane Watson ne zabardast century lagakar final ko ek tarfa kar diya
2019 Mumbai Indians aur Chennai Super Kings ke beech ek baar phir final hua, lekin is baar bhi faisla sirf 1 run se hua. Mumbai Indians ne match jeetkar apna chautha title jeeta aur Jasprit Bumrah Player of the Match rahe
2020 Dubai mein khele gaye final mein Mumbai Indians ne Delhi Capitals ko 5 wickets se hara diya. Trent Boult ne final mein shandaar bowling ki
2021 Chennai Super Kings ne Kolkata Knight Riders ko 27 runs se hara kar apna chautha title jeeta Faf du Plessis final ke Player of the Match rahe
2022 Gujarat Titans ne apne pehle hi season mein Rajasthan Royals ko 7 wickets se hara kar trophy jeet li. Hardik Pandya ne captain ke saath Player of the Match ki zimmedari bhi bakhoobi nibhayi
2023 Chennai Super Kings ne Gujarat Titans ko DLS Method se 5 wickets se hara kar apna paanchva IPL title jeeta Or Devon Conway Player of the Match rahe
2024 Kolkata Knight Riders ne Sunrisers Hyderabad ko 8 wickets se hara kar teesri baar IPL champion banne ka kamaal kiya. Mitchell Starc final ke sabse bade hero rahe
2025 Royal Challengers Bengaluru ne Punjab Kings ko 6 runs se hara kar IPL trophy ka apna intezar khatam kiya. Krunal Pandya Player of the Match rahe
2026 Royal Challengers Bengaluru ne Gujarat Titans ko 5 wickets se hara kar lagatar doosri baar IPL trophy apne naam ki. Virat Kohli final ke Player of the Match rahe
Sabse Zyada IPL Trophy Kis Team Ke Naam Hai
IPL history mein Mumbai Indians aur Chennai Super Kings dono ke naam 5-5 titles hain. Dono teams ne alag-alag daur mein IPL par apni pakad banaye rakhi hai
Mumbai Indians ne 2013, 2015, 2017, 2019 aur 2020 mein trophy jeeti, jabki Chennai Super Kings ne 2010, 2011, 2018, 2021 aur 2023 mein khitab apne naam kiya
In dono ke baad Kolkata Knight Riders ke naam 3 titles hain Royal Challengers Bengaluru ne 2025 aur 2026 mein lagatar do trophies jeetkar apni trophy cabinet ko bhi kaafi majboot kar liya
Rajasthan Royals, Deccan Chargers, Sunrisers Hyderabad aur Gujarat Titans ek-ek baar IPL champion ban chuke hain
Chennai Super Kings Ke Naam Sabse Zyada Final khelne ka record
Agar sirf trophy ki baat karein to Mumbai Indians aur Chennai Super Kings barabar hain, lekin final tak pahunchne ke maamle mein Chennai Super Kings sabse aage hai
CSK ne 10 IPL finals khele hain 2008 se lekar 2023 tak team ne kai baar final ka safar tay kiya aur paanch baar trophy bhi jeeti
Royal Challengers Bengaluru 5 finals ke saath agle number par hai Mumbai Indians ne 6 finals khele hain jabki Kolkata Knight Riders 4 baar final tak pahunch chuki hai
Sabse Zyada Baar Runner-up Kaun Raha
Yahan bhi Chennai Super Kings sabse aage hai. CSK 5 baar runner-up rahi hai
Royal Challengers Bengaluru 3 baar final haar chuki hai jabki Sunrisers Hyderabad aur Punjab Kings/ Kings 11 Punjab do-do baar runner-up rahe hain
Gujarat Titans bhi 2023 aur 2026 mein final haar kar do baar runner-up ban chuki hai
IPL Final Mein Sabse Badi Jeet Ka Record
Runs ke hisaab se IPL final ki sabse badi winning margin 58 runs hai. 2011 mein Chennai Super Kings ne Royal Challengers Bengaluru ko 58 runs se haraya tha
Wickets ki baat karein to 8 wickets se jeet do baar dekhne ko mili hai
2018 mein CSK ne Sunrisers Hyderabad ko 8 wickets se haraya tha, jabki 2024 mein KKR ne SRH ko 8 wickets se hara diya
Aur agar sabse close finals ki baat karein, to 2017 aur 2019 ke finals sabse zyada yaad kiye jaate hain. Dono matches mein Mumbai Indians ne sirf 1 run se jeet haasil ki thi
Batting First Ya Chasing IPL Final Mein Kiska Palda Bhaari
2008 se 2026 tak IPL finals mein batting first aur chasing dono ne lagbhag barabar kamaal kiya hai
9 finals mein pehle batting karne wali team jeeti, jabki 9 baar chasing karne wali team champion bani
Is list mein 2008, 2012, 2014, 2018, 2020, 2022, 2023, 2024 aur 2026 ke finals chasing teams ke naam rahe
Yani IPL final mein pehle batting karna ya target chase karna, dono mein se kisi ek ko seedha advantage dena aasaan nahi hai
IPL Final Mein Sabse Zyada Titles Jeetne Wale Captains
IPL mein captain ke taur par sabse zyada trophies jeetne ka record Rohit Sharma aur MS Dhoni ke naam hai. Dono ne 5-5 titles jeete hain
Rohit Sharma ne Mumbai Indians ko 2013, 2015, 2017, 2019 aur 2020 mein champion banaya
MS Dhoni ne Chennai Super Kings ko 2010, 2011, 2018, 2021 aur 2023 mein trophy dilayi
Gautam Gambhir ne 2012 aur 2014 mein KKR ko champion banaya jabki Rajat Patidar ne 2025 aur 2026 mein RCB ko lagatar do titles dilakar apna naam bhi is khaas list mein jod diya
IPL Final Ka Sabse Bada Hero Kaun Raha
Har final mein koi na koi khiladi aisa raha hai jisne trophy jeetne mein sabse bada role nibhaya. Yusuf Pathan se lekar Virat Kohli tak, IPL finals ne kai bade match-winners dekhe hain
Player of the Match awards ki baat karein to Krunal Pandya ke naam 2 final awards hain. Unhone 2017 mein Mumbai Indians ke liye aur 2025 mein Royal Challengers Bengaluru ke liye final mein ye award jeeta
Baaki finals mein alag-alag players ne Player of the Match award apne naam kiya
Player of the Tournament Ki Kahani Bhi Hai Khaas
IPL ke har season mein ek aisa player bhi raha hai jise poore tournament mein behtareen performance ke liye Player of the Tournament ya MVP ka award mila
Shane Watson ne 2008 mein ye award jeetkar shuruaat ki. Adam Gilchrist Sachin Tendulkar, Chris Gayle, Sunil Narine, Glenn Maxwell, Andre Russell aur Virat Kohli jaise bade naam bhi is list ka hissa rahe
Sunil Narine ne 2012, 2017, 2018 aur 2024 mein ye award jeetkar ek khaas record banaya
2022 mein Jos Buttler, 2023 mein Shubman Gill aur 2025 mein Krunal Pandya ko Player of the Tournament chuna gaya, jabki 2026 mein Virat Kohli ne ye award apne naam kiya
IPL Finals Sabse Zyada Kahan Khele Gaye
IPL finals ne India ke kai iconic stadiums ka safar kiya hai. Mumbai ka Wankhede Stadium, Chennai ka MA Chidambaram Stadium, Kolkata ka Eden Gardens, Bengaluru ka M Chinnaswamy Stadium aur Ahmedabad ka Narendra Modi Stadium is list mein khaas jagah rakhte hain
MA Chidambaram Stadium aur Narendra Modi Stadium mein 4-4 IPL finals khele gaye hain, jo sabse zyada hain
IPL final ka safar Mumbai se lekar Dubai aur Johannesburg tak bhi pahucha 2009 ka final South Africa mein aur 2020 aur 2021 ke finals Dubai mein khele gaye the
IPL History Mein Final Ka Sabse Romanchak Daur
IPL ki sabse khaas baat yahi hai ki final mein kuch bhi ho sakta hai. 2017 mein Mumbai Indians ne Rising Pune Supergiant ko sirf 1 run se haraya, to 2019 mein Chennai Super Kings ke khilaf bhi Mumbai ko itni hi margin se jeet mili
2023 mein Gujarat Titans aur Chennai Super Kings ke final ka faisla DLS Method se hua. 2024 mein KKR ne SRH ko sirf 10.3 overs mein chase karke final ko ek tarfa kar diya
Aur phir 2025 aur 2026 mein Royal Challengers Bengaluru ne lagatar do titles jeetkar IPL ki kahani mein ek naya chapter jod diya
2008 Se 2026 Tak IPL Ki Kahani
19 seasons ke is safar mein IPL ne almost har tarah ka final dekha hai. Superstars ka dominance bhi dekha newcomers ka surprise bhi Kabhi ek experienced captain ne trophy uthayi, to kabhi ek nayi team ne apne pehle hi season mein poori league ko chaunka diya
Rajasthan Royals se shuru hua IPL ka safar aaj Royal Challengers Bengaluru ke back-to-back titles tak pahunch chuka hai Beech mein Mumbai Indians aur Chennai Super Kings ne sabse zyada trophies jeetkar apna alag hi era banaya, KKR ne teen baar champion bankar apni jagah banayi aur Gujarat Titans ne aate hi trophy jeetkar bata diya ki IPL mein experience se zyada matter karta hai sahi waqt par sahi performance
IPL ki yahi unpredictability ise khaas banati hai. Har season ek nayi kahani lekar aata hai, lekin trophy ke liye final mein sirf ek team ka sapna poora hota hai
Aapke hisaab se IPL ka sabse yaadgaar final kaunsa raha
2008 se 2026 tak IPL ne fans ko ek se badhkar ek thrilling finals diye hain Aapko inmein se kaunsa final sabse zyada yaad hai Aur aapki favourite IPL champion team kaun si hai
Comment karke zaroor batayein Aapka jawab dekhna interesting rahega Aur haan agar aapko IPL ki ye history pasand aayi ho to ise apne cricket-loving doston ke saath bhi share karna bilkul Bhi Na Bhule aur cricket Ki Har live update aur romanchak kison ke liye Hamare Sath Bane Rahe cric spot hindi Par
...Author: Shanu Tiwari...
Comments
Post a Comment