CSK Mein Aakhir Ho Kya Raha Hai IPL 2027 Se Pehle Head Coach Bowling Coach Se Lekar Ab Batting Coach Tak Sab Bahar Aaiye Jane CSK ka Naya Bhavishya
khel ki duniya mein jab bhi chennai super kings yaani csk ka naam aata hai toh dimaag mein sabse pehle ek hi cheez aati hai vafadari aur purane parivar ki tarah sath rehna lekin pichle kuch samay se anhi yellow army ke andar jo tufan utha hai usne sabhi csk fans ko hairan karke rakh diya hai jis franchise ki pehchan apne purane khiladiyon aur purane coaching staff ke sath lamba safar tay karne ki thi wahan ab ek ke baad ek bade badlaav dekhne ko mil rahe hain aur purane sare diggajon ko ek ek karke alag kiya ja raha hai jisse har jagah bas yahi charcha hai ki aakhir csk ke andar ye sab ho kya raha hai
CSK ki Badlav ki badi kahani
Is poore badlaav ki shuruwat tab hui jab sabse bade aur sabse purane head coach stephen fleming ka yug samapt hone ki khabar aayi aur unki jagah par bhartiya cricket ke mahan tez gendbaz zaheer khan ko csk ka naya head coach niyukt kar diya gaya stephen fleming ne jitne lambe samay tak is team ko sambhala tha aur jitni baar trophy jitwayi thi unka jana kisi bade jhatke se kam nahi tha lekin management ne ab naye bhavishya ki taraf kadam badhate huye zaheer khan ke haath mein poori kaman saump di hai taaki team ko ek nayi soch aur naye anushasan ke sath aage badhaya ja sake
sirf head coach hi nahi balki team ke bowling department mein bhi bada Phir Badal kiya gaya hai jahan pehle eric simons is zimmedari ko sambhal rahe the wahi ab unki jagah par purane csk gendbaz mohit sharma ki ek naye role mein wapse ho chuki hai yaad hoga ki wahi mohit sharma hain jinhone 2014 mein csk ke liye orange cap nahi balki apni khatarnak bowling se sabka dil jeeta tha aur ab wo team ke naye young pacers ko tarashne aur unhe matchwinner banane ki bhumika mein laut aaye hain jo ki team ke liye ek bahut bada aur sakaratmak kadam mana ja raha hai
aur toh aur pichle lagbhag aath saal se team ke sath vafadari ke sath jude rehne wale batting coach michael hussey ko bhi is maha badlaav ki aandhi mein apne pad se alag hona pada hai michael hussey ka jana csk ke batting camp ke liye ek bada khali pan chhod gaya hai aur unki jagah par ab england ke purane spinner aur county cricket mein naye naye record banane wale gareth batty ko assistant coach ke roop mein shamil kiya gaya hai jabki naye batting coach ki talaash abhi bhi joro shoro se chal rahi hai jisme kai bade naam race mein aage chal rahe hain
CSK ka naya bhavishya
in sabhi badlaavon ke piche m s dhoni aur csk management ka kya bada masterplan hai yeh sabse bada sawal bana hua hai kya dhoni aur team management aane wale auction aur aane wale saal ke liye poori team ka dancha badalna chahte hain aur sab kuch ekdam zero se shuru karna chahte hain kyuki jab purane sare pillars hataye ja rahe hain toh iska saaf matlab hai ki aane wala samay csk ke liye ek naye yug ki shuruwat hone wala hai aur sabhi ki nigahein is baat par hain ki agla naya batting coach kaun banta hai
Iske alawa csk management ne ek aur bada daav chalte huye apne purane khiladi aur fans ke behad kareeb rehne wale Albie Morkel ko bhi Assistant Coach ke roop mein team mein shamil kar liya hai albie morkel ka csk ke sath purana aur gehra rishta raha hai, aur unke dugout mein wapas aane se khiladiyon ko mukable ke dauran bada mental support aur winning mindset milne ki poori ummid hai
Ab jab csk ne purane aur anubhavi staff ko hata kar itna bada aur sahasik kadam utha hi liya hai toh sabhi csk fans yahi chahte hain ki agla bada dhamaka chinna thala yaani suresh raina ki batting coach ke roop mein entry karke kiya jaye. jaisa ki sabhi jaante hain ki raina ka csk ke sath ek alag hi rishta raha hai aur unka anubhav naye ballebazon ke liye kisi Vardan se kam nahi hoga sabhi csk fans ki yahi ummid hai ki ipl 2027 se pehle csk management suresh raina ko ye zimmedari saump kar ek aur masterstroke khele jisse team ka purana junoon aur dhar ek baar fir se maidan par laut aaye
is poore badlaav mein m s dhoni ki bhumika sabse ahem bani hui hai kyunki bina dhoni ki manzoori ke csk itna bada faisla kabhi nahi le sakti hai dhoni khud parde ke piche rehkar team ke is naye safar ki poori ranniti taiyar kar rahe hain taaki csk ek baar fir se aane wale ipl mein sabse khatarnak aur vijayi team ban kar ubhar sake chahe coaching staff kitna bhi badal jaye par dhoni ka dimag aur unka anubhav hi is team ki asli taqat hai aur yahi wajah hai ki fans ummid kar rahe hain ki ye naye badlaav team ke liye faydemand sabit honge
Fielding & Assistant Coach
sirf itna hi nahi balki team ne apne dugout ko aur bhi zyada majboot aur anubhavi banane ke liye bade kadam uthaye hain jisme James Foster ko naya Fielding Coach aur anubhavi Sridharan Sriram ko Assistant Coach ke roop mein shamil kar liya gaya hai. in naye aur diggaj chehron ke aane se csk ka coaching staff aur bhi zyada khunkhaar aur strategic ban gaya hai, jo aane wale ipl mein team ki field par fitness aur ranniti ko naye star par le jaane ke liye poori tarah taiyar dikh raha hai
ab ek bada sawal ye uthta hai ki kya m s dhoni aur csk management ka yeh naya masterplan aane wale ipl mein team ko fir se champion bana payega ya fir stephen fleming aur michael hussey jaise purane anubhavi stafon ke jaane se team ko nuksan uthana padega aapko kya lagta hai kya zaheer khan aur mohit sharma ki naye coaching jodi csk ki kismat badal payegi apne vichar hume comment karke zaroor batayein
...Author: Shanu Tiwari...


Comments
Post a Comment