India Vs New Zealand 4th T20 Captain Ki Rannitik Bhool


IND vs NZ Series Jeetne Ka Nasha Aur Toss Jeet Kar Pehle Bowling Chunne Ki Badi Bhool Bharat aur New Zealand ke beech khele gaye chothe T20 mukable me bhartiya team ko 87 ranso se ek karari haar ka samna karna pada hai Series par pehle hi 3-0 se kabja jamane ke baad captain aur team management ne bench strength ko aazmane ka mauka ganwa diya aur wahi purani playing eleven ke sath utar aaye Halanki team me do badlav zaroor hue the jahan chot ke baad wicketkeeper batsman Ishan Kishan ki wapsi hui aur Bhuvneshwar Kumar ki jagah pacer Mayank Yadav ko mauka mila lekin baki saare khiladi wahi purane utare gaye

Auckland ke Eden Park ka maidan apni choti boundary aur ranso ki barish ke liye jana jata hai, jahan toss jeet kar pehle bowling karne ka faisla ulta pad gaya Series apne naam ho chuki thi aise me baki baithhe hue yuva khiladiyon ko rest dekar unki jagah dusre naye players ko maidan me utarne ka yeh sabse sunehra mauka tha jiska fayda nahi uthaya gaya Pichle match me mahaj 13 overon me 200 run thokar jo kiwi team ke khilaap halla bola gaya tha is baar New Zealand usi purani khunnas aur badla lene ke irade se maidan par utri thi aur unhone iska pura fayda uthaya

Glenn Phillips Aur Michael Bracewell Ka Tandav New Zealand Ka 259 Score

Match ki shuruwat se hi New Zealand ke ballebazon ne bhartiya gendbaazon ki dhajjiyan udana shuru kar diya aur maidan ke har kone me chhakko-chauko ki barsat kar di. Pichle match ka hisab barabar karne utri kiwi team ke ballebazon ne kisi bhi gendbaaz nahi chhoda aur scoreboard par 20 overon me 7 wicket ke nuksan par 259 ranso ka vishal pahar khada kar diya. Madhyakram me ballebazi karne aaye Glenn Phillips ne maidan par tandav machate hue matra 49 gendo me 6 chauke aur 10 gaganchumbi chhakko ki madad se 107 ranso ki aitihasik shatakiy pari kheli jiske liye unhe Man of the Match chuna gaya Unka sath dete hue Michael Bracewell ne bhi mahaj 25 gendo me 4 chauke aur 6 chhakko ki madad se 65 ranso ki dhamakedar pari khelkar score ko aasman par pahuncha diya Bhartiya gendbazi aakraman is tufan ke samne puri tarah lachar najar aaya jahan Nitish Kumar Reddy ne apne 4 overon ke kote me jamkar 64 run luta diye

Target Ka Picha Karte Hue Bikhra Top Order Powerplay Me Jhatke

Itne bade aur pahar jaise lakshya ka picha karne utri bhartiya team ki shuruwat behadd nirasajanak rahi Powerplay ke shuruwati overon me hi kiwi gendbaazon ne bhartiya ballebazon ko ghutne tekne per majboor kar diya aur Sanju Samson matra 4 run banakar pavilion laut gaye Chot ke baad team me wapsi kar rahe wicketkeeper batsman Ishan Kishan bhi apna khata khole bina shunya ke score par hi Jacob Duffy ka shikar ban gaye Captain Shreyas Iyer bhi is dabav bhare mukable me matra 22 run banakar Adam Milne ki gend par bold hokar chalte bane Tilak Varma ne 35 ranso ki aur Naman Dhir ne 28 ranso ki tejtarraar pari khelkar pariksha ko sambhalne ki koshish ki lekin lagatar girte wicketo ke karan team per dabav badhta chala gaya

Jacob Duffy Ki Katilana Bowling All Out Ke Kareeb Pahuche Hum

Jaise-jaise match aage badha New Zealand ke pacer Jacob Duffy ne apni katilana bowling se bhartiya ballebazon ki kamar todkar rakh di aur matra 4 overon me sirf 23 run kharch karte hue 4 mahatvapurna wicket jhatak liye Vishal lakshya ke dabav me har ballebaz bada shot khelne ke chakkar me apna wicket gawata chala gaya jiske chalte dekhte hi dekhte bhartiya pari tash ke pato ki tarah bikhar gayi Sthiti itni kharab ho gayi thi ki Team India all out hone ke bilkul kareeb aur kagar par pahunch chuki thi aur uske 9 bade wicket gir chuke the Ant me aakhiri wicket ke liye Prince Yadav aur Mayank Yadav ne crease par tikkar kisi tarah 20 overon ka kota pura kiya, lekin team 20 overon me 9 wicket ke nuksan pe 172 run hi bana saki aur 87 ranso se mukabla haar gayi

Team India Ke Liye

Hamara vyaktigat ray aur cricket vishleshakon ke najariye se dekhe toh yeh haar bhartiya team ke liye aane wale bade match se pehle ek bahut badi chetavni sabit hui hai Series pehle hi jeet lene ke baad bench strength ko aazmane ke bajay khiladiyon ko rest na dekar wahi purani team utarne ki rannitik chook saaf nazar aayi hai Yadi squad ke baki khiladiyon ko mauka diya jata toh shayad naye talent ko parakhne ka mauka milta Eden Park jaise chote maidan par toss jeet kar pehle bowling chunne ka faisla puri tarah se galat sabit hua jis par team management ko vichar karna hoga 


                                       ...Author: Shanu Tiwari... 

Comments

Popular posts from this blog

Ind vs NZ 2nd ODI Wellington Ke Samundari Jhonko Aur Hawaon Ke Beech Team India Ki Agnipariksha Aur 2nd ODI Se Pehle Ki Asli Mansik Jung

India vs West Indies 3rd T20 Indore Pitch Report Aur Playing 11 aaiae Jaan Lete Hain Kaun Jeet sakta hai 3rd T20 match

IPL इतिहास का सबसे बड़ा भूचाल: रो पड़े थाला धोनी! 18 साल की 'अमर जोड़ी' का हुआ दर्दनाक अंत, CSK फैंस के लिए आज का दिन बना 'ब्लैक डे'! 🚨😭