India vs West Indies 1st T20 43 gendon me Shreyas Iyer ka aisa toofan West Indies ke 171 run bhi pade chhote India ne 32 gend pehle jeeta match


India aur West Indies ke beech Lucknow ke Ekana Cricket Stadium B Ground me pehla T20 match khatam ho gaya hai aur bhai sahab ye koi normal jeet nahi thi India ne West Indies ke 171 run ke target ko sirf 14.4 over me chase kar diya aur 8 wicket se match apne naam kar liya Matlab 32 gend abhi bhi baaki thi aur India ka kaam tamam ho chuka tha

Match ki asli kahani agar ek naam me sametni ho to wo naam hai Shreyas Iyer Captain ke taur par pehle hi T20 me jis andaaz me unhone ballebaazi ki hai usne poore match ka rukh hi badal diya 43 gend, 10 chauke 6 chhakke aur seedha 102 run not out Strike rate 237 se bhi upar Aisa laga jaise Shreyas ne decide kar liya ho ki aaj target ka hisaab kitab baad me dekhenge pehle match khatam karte hain

West Indies ne 171 banaye lekin asli mushkil yahin se shuru ho gayi

India ne toss jeetkar pehle bowling karne ka faisla kiya tha. West Indies ki team ne 19.1 over me 171 run banaye aur poori team all out ho gayi. Score dekhkar pehli nazar me laga ki Lucknow ki pitch par India ko thoda sambhal kar khelna padega

Lekin West Indies ko shayad ye andaaza nahi tha ki saamne wali team ke paas Shreyas Iyer naam ka ek alag hi mood me chal raha ballebaaz khada hai

West Indies ki taraf se captain Shai Hope ne 37 gend par 52 run banaye Shimron Hetmyer sirf 2 run par run out ho gaye jabki Sherfane Rutherford ne 34 gend par 56 run ki tez pari kheli. Rutherford ki pari ne West Indies ko 171 tak pahunchaya aur ek waqt par laga ki unhone India ke saamne achha challenge rakh diya hai

Lekin T20 cricket me sirf score banana kaafi nahi hota. Us score ko bachane ke liye saamne wali team ko pressure me lana padta hai aur West Indies yahi kaam nahi kar paayi

171 ka jawab mila Shreyas Iyer ke 102 runs 

India ki innings shuru hui to Sanju Samson 11 run banakar out ho gaye Abhishek Sharma ne 10 gend par 21 run banaye aur unki chhoti si pari me 3 chauke aur 1 chhakka bhi dekhne ko mila

Uske baad Ishan Kishan aur Shreyas Iyer ne milkar innings ko sambhala Ishan ne 27 gend par 37 run banaye aur doosre end se Shreyas ka bat bilkul rukne ka naam nahi le raha tha

Phir jo hua wo West Indies ke liye match ka sabse bada jhatka tha

Shreyas ne 43 gend par apna shatak poora kar diya 10 chauke aur 6 chhakke. Not out Aur sabse khaas baat ye ki unka strike rate 237.21 raha. T20 me 100 run banana hi badi baat hai lekin jis speed se ye 102 run aaye usne poori West Indies bowling ko hawa me uda diya

Captain bana aur pehle hi match me 102 not out

Shreyas Iyer ke liye ye match sirf ek jeet nahi hai Captaincy sambhalte hi aisi innings khelna unke liye confidence ka bahut bada signal hai

Captain ke kandhe par normally team ko sambhalne ka pressure hota hai Lekin yahan Shreyas ne pressure ko hi apne bat se bahar nikal diya Unhone na sirf innings ko end tak le gaye balki target ko itna aasaan bana diya ki India ko 15 over bhi poore nahi karne pade

India ne 172 run sirf 14.4 over me bana diye Scoreboard par 172/2 aur saamne 171 Bas itna hi fark tha lekin match dekhne wale jaante hain ki dono teams ke beech farq isse kahin zyada tha

West Indies ke bowlers ke paas Shreyas ka koi jawab nahi tha

West Indies ki bowling figures dekhkar hi samajh aa jata hai ki India ne kitna pressure bana diya tha Matthew Forde ne 2 over me 39 run de diye Alzarri Joseph ne 4 over me 37 run diye aur Roston Chase ne 3.4 over me 37 run kharch kiye

Shepherd ne bhi 2 over me 24 run diye aur Springer ne sirf 1 over me 12 run de diye

India ke liye ye chase ekdum khula hua tha aur jaise jaise Shreyas ke chauke chhakke lagte gaye West Indies ke paas comeback ka raasta chhota hota gaya

Ishan Kishan ne bhi nibhaya apna role

Shreyas ke 102 run ki wajah se baaki innings ki taraf logon ka dhyan kam ja sakta hai lekin Ishan Kishan ki 37 run ki pari bhi kaafi important thi 

Ishan ne 27 gend par 37 run banaye aur Shreyas ko doosre end se support diya Jab ek ballebaaz itni tezi se run bana raha ho to doosre ballebaaz ka kaam hota hai innings ko tootne na dena aur Ishan ne wahi kiya

India ke dono wicket Sanju Samson aur Abhishek Sharma ke gaye lekin iske baad West Indies ko koi mauka nahi mila

India ki bowling me Axar aur Kuldeep ka bhi chala jaadu

India ne batting se match ko ek taraf kiya lekin bowling me bhi kai players ne apna kaam kiya. Axar Patel ne 3.1 over me 26 run dekar 2 wicket liye

Kuldeep Yadav ne 4 over me 33 run dekar 2 wicket apne naam kiye Mayank Yadav ko ek wicket mila aur Arshdeep Singh ne bhi ek wicket liya

Sabse interesting performance Naman Dhir ki rahi. Unhone 4 over me sirf 31 run dekar 3 wicket jhatak diye West Indies ki innings ko todne me unke teen wickets ka bada role raha

Yaani India ne sirf balle se hi match nahi jeeta. Pehle bowling me West Indies ko 171 par rokne ka kaam kiya aur phir batting me Shreyas Iyer ne poora match apne naam kar liya

Shai Hope aur Rutherford ne koshish ki lekin kaam nahi aayi

West Indies ki taraf se Shai Hope aur Sherfane Rutherford ne sabse zyada fight dikhayi Hope ne 52 run banaye aur Rutherford ne 56 run ki tez pari kheli

Lekin problem ye rahi ki un dono ke alawa West Indies ki batting me koi bada score nahi bana saka Hetmyer bhi jaldi chale gaye aur baaki ballebaaz India ke bowlers ke saamne tik nahi paaye

171 ka score T20 me defend kiya ja sakta hai Lekin uske liye wickets bhi chahiye aur pressure bhi West Indies dono cheezon me peeche reh gayi

India ne match jeeta nahi balki West Indies se match chheen liya

Is match ka sabse dangerous angle yahi hai Scorecard dekhne par lagega India ne 8 wicket se jeet haasil ki Lekin asli picture dekhi jaye to India ne West Indies ko poore match me settle hone ka mauka hi nahi diya

Pehle Naman Dhir, Axar Patel aur Kuldeep Yadav ne West Indies ke middle order ko jhatke diye Phir jab batting aayi to Shreyas Iyer ne game hi khatam kar diya

171 ke target ko 14.4 over me chase karna kisi bhi team ke liye warning hoti hai Aur West Indies ke liye to ye pehle T20 ke baad seedha signal hai ki series me agar India ko rokna hai to Shreyas Iyer ke against plan banana hi padega

Ab agle match se pehle sabse bada sawal

Pehle T20 ke baad West Indies ke saamne sabse bada sawal ye hoga ki Shreyas Iyer ko kaise roka jaye Sirf fielding badalne ya bowler badalne se kaam nahi chalega 43 gend me 102 run ki innings ne bata diya hai ki unhe ekdum alag planning ke saath target karna padega

Dusri taraf India ke liye sabse badi positive baat ye hai ki naye captain ne pehle hi match me team ko front se lead kiya hai Agar Shreyas isi form ko aage bhi lekar chalte hain to West Indies ke liye series ka agla match aur bhi mushkil ho sakta hai

Aur bhai cricket me sabse dangerous cheez hoti hai kisi player ka confidence Shreyas Iyer ne pehle hi match me wo confidence hasil kar liya hai

Match ka poora hisaab

West Indies 171 all out 19.1 over

Shai Hope 52 run

Sherfane Rutherford 56 run

India 172/2 14.4 over

Shreyas Iyer 102 not out

Ishan Kishan 37 not out

Abhishek Sharma 21 run

Sanju Samson 11 run

India ne 8 wicket se match jeeta aur 32 gend baaki rahi

Kaun bana match ka asli hero

Agar ek naam chunna ho to bina kisi confusion ke Shreyas Iyer Captaincy ka pehla match aur seedha 43 gend par 102 run not out Isse better opening statement shayad hi ho sakta tha

Dosto pehle T20 me India ne West Indies ko 8 wicket se hara diya aur Shreyas Iyer ne 102 run ki zabardast pari khelkar poora match apne naam kar liya Aapko Shreyas Iyer ki ye innings kaisi lagi aur kya wo poori series me isi tarah ka dhamaka kar paayenge Apni rai comments me zaroor share kariye aur apne cricket lover doston ke saath  share karna bilkul mat bhoo liye Cricket ki aur live updates aur romanchak kisson ke liye hamare saath bane rahiye cricspothindi.in


                           ...Author: Shanu Tiwari... 


Comments

Popular posts from this blog

Ind vs NZ 2nd ODI Wellington Ke Samundari Jhonko Aur Hawaon Ke Beech Team India Ki Agnipariksha Aur 2nd ODI Se Pehle Ki Asli Mansik Jung

India vs West Indies 3rd T20 Indore Pitch Report Aur Playing 11 aaiae Jaan Lete Hain Kaun Jeet sakta hai 3rd T20 match

IPL इतिहास का सबसे बड़ा भूचाल: रो पड़े थाला धोनी! 18 साल की 'अमर जोड़ी' का हुआ दर्दनाक अंत, CSK फैंस के लिए आज का दिन बना 'ब्लैक डे'! 🚨😭