IPL 2008 Se 2026 Tak Sabse Zyada Chhakke Kis Team Ne Lagaye Hain Dekhiye All Time Sixer King Team Ki Poori List


IPL ki shuruat saal 2008 me hui thi aur tab se lekar saal 2026 tak yani poore 19 saalon me cricket ka andaaz poori tarah se badal chuka hai Ipl me fans hamesha se hi chauke aur chhakko ki baarish dekhna pasand karte hain Har season me har team ka yeh lakshya hota hai ki woh apne virodhi par aakramak batting se dabaao banaye aur boundary paar lambe lambe chhakke maare Ipl ke 19 saal ke itihas me kai aisi teamen rahi hain jinhone har saal chhakke marne ke naye record banaye aur purane records ko chaknachoor kar diya Is article me hum 2008 se lekar 2026 tak ke har season me sabse zyada chhakke lagane wali top 3 teamo ke bare me vistaar se baat karenge aur saath hi yeh bhi dekhenge ki poore Ipl itihas me sabse zyada chhakke kis team ke naam hain Aaye jaane har season ka poora hisab kitab aur har saal ki kahani

IPL 2008 Se 2026 Tak Sabse Zyada Chhakke Lagane Wali Top 3 Teamen

IPL ke pehle season se lekar ab tak har saal batting ka star alag hi sthar par pahuncha hai Aaye dekhte hain saal dar saal kis team ne chhakke lagane me pehla dusra aur teesra sthan hasil kiya hai

IPL 2008

First: Kings Xi Punjab ne 95 chhakke lagakar pehla sthan hasil kiya tha

Second: Rajasthan Royals ne 92 chhakke lagakar dusra sthan hasil kiya tha

Third: Chennai Super Kings ne 89 chhakke lagakar teesra sthan hasil kiya tha

Saal 2008 me jab Ipl shuru hua tha tab Kings Xi Punjab ki team me Shaun Marsh aur Yuvraj Singh jaise toofani batsman the jinhone poore season me chhakko ki baarish ki thi Rajasthan Royals ne Shane Warne ki kaptaani me khitab jeeta tha aur unke batsman ne bhi 92 chhakke lagaye the wahi Chennai Super Kings ne MS Dhoni ki agwai me 89 chhakke maare the

IPL 2009

First: Deccan Chargers ne 99 chhakke lagakar pehla sthan hasil kiya tha

Second: Kings Xi Punjab ne 90 chhakke lagakar dusra sthan hasil kiya tha

Third: Mumbai Indians ne 84 chhakke lagakar teesra sthan hasil kiya tha

South Africa me khele gaye is Ipl me Adam Gilchrist ki Deccan Chargers ne toofani khel dikhaya tha aur 99 chhakke lagakar season ka khitab bhi apne naam kiya tha Punjab ki team 90 chhakko ke saath dusre number par rahi aur Mumbai Indians ne 84 chhakke lagaye the

IPL 2010

First: Chennai Super Kings ne 97 chhakke lagakar pehla sthan hasil kiya tha

Second: Mumbai Indians ne 87 chhakke lagakar dusra sthan hasil kiya tha

Third: Royal Challengers Bangalore ne 86 chhakke lagakar teesra sthan hasil kiya tha

Saal 2010 me Chennai Super Kings ne pehli baar Ipl ka khitab jeeta tha aur unke batsmen ne poore tournament me sabse zyada 97 chhakke lagaye the Sachin Tendulkar ki kaptaani wali Mumbai Indians 87 chhakko ke saath dusre sthan par rahi aur RCB 86 chhakko ke saath teesre sthan par thi

IPL 2011

First: Royal Challengers Bangalore ne 94 chhakke lagakar pehla sthan hasil kiya tha

Second: Chennai Super Kings ne 91 chhakke lagakar dusra sthan hasil kiya tha

Third: Mumbai Indians ne 82 chhakke lagakar teesra sthan hasil kiya tha

Saal 2011 me Chris Gayle ki RCB me entry hui thi aur unke aate hi RCB ne chhakko ki jhadhi laga di thi RCB ne 94 chhakke lagakar pehla sthan hasil kiya tha jabki Chennai ne 91 aur Mumbai ne 82 chhakke lagaye the

IPL 2012

First: Royal Challengers Bangalore ne 117 chhakke lagakar pehla sthan hasil kiya tha

Second: Chennai Super Kings ne 102 chhakke lagakar dusra sthan hasil kiya tha

Third: Mumbai Indians ne 99 chhakke lagakar teesra sthan hasil kiya tha

RCB ne is saal pehli baar 100 chhakko ka aakda paar kiya tha Chris Gayle AB de Villiers aur Virat Kohli ki trikoni batting ne 117 chhakke thok diye the Chennai 102 chhakko ke saath dusre aur Mumbai 99 chhakko ke saath teesre sthan par rahi thi

IPL 2013

First: Mumbai Indians ne 117 chhakke lagakar pehla sthan hasil kiya tha

Second: Royal Challengers Bangalore ne 114 chhakke lagakar dusra sthan hasil kiya tha

Third: Chennai Super Kings ne 95 chhakke lagakar teesra sthan hasil kiya tha

Rohit Sharma ki kaptaani me Mumbai Indians ne apna pehla Ipl khitab jeeta tha aur 117 chhakke lagakar top position hasil ki thi RCB ne Gayle ke 175 runs wali innings ki badaulat 114 chhakke maare the jabki Chennai 95 chhakko par ruki thi

IPL 2014

First: Kings Xi Punjab ne 127 chhakke lagakar pehla sthan hasil kiya tha

Second: Mumbai Indians ne 105 chhakke lagakar dusra sthan hasil kiya tha

Third: Chennai Super Kings ne 98 chhakke lagakar teesra sthan hasil kiya tha

Glenn Maxwell aur David Miller ki toofani jodi ne 2014 me Punjab ko final tak pahunchaya tha Punjab ne 127 chhakke maare the Mumbai 105 chhakko ke saath dusre aur Chennai 98 chhakko ke saath teesre sthan par rahi thi

IPL 2015

First: Mumbai Indians ne 120 chhakke lagakar pehla sthan hasil kiya tha

Second: Royal Challengers Bangalore ne 115 chhakke lagakar dusra sthan hasil kiya tha

Third: Chennai Super Kings ne 96 chhakke lagakar teesra sthan hasil kiya tha

Mumbai Indians ne fir se trophy jeeti aur 120 chhakke lagakar pehla sthan hasil kiya RCB ne 115 chhakke maare jabki Chennai Super Kings 96 chhakko ke saath teesre sthan par rahi thi

IPL 2016

First: Royal Challengers Bangalore ne 142 chhakke lagakar pehla sthan hasil kiya tha

Second: Mumbai Indians ne 112 chhakke lagakar dusra sthan hasil kiya tha

Third: Sunrisers Hyderabad ne 89 chhakke lagakar teesra sthan hasil kiya tha

Saal 2016 RCB aur Virat Kohli ke naam raha tha Kohli ke 973 runs aur Gayle AB de Villiers ke toofan se RCB ne 142 chhakke maare the jo us waqt ka ek naya record tha Mumbai 112 chhakko ke saath dusre aur champion Hyderabad 89 chhakko ke saath teesre sthan par rahi thi

IPL 2017

First: Mumbai Indians ne 117 chhakke lagakar pehla sthan hasil kiya tha

Second: Kings Xi Punjab ne 103 chhakke lagakar dusra sthan hasil kiya tha

Third: Delhi Daredevils ne 95 chhakke lagakar teesra sthan hasil kiya tha

Mumbai Indians ne teesri baar trophy jeeti aur 117 chhakke lagakar pehla sthan paya Punjab ne 103 chhakke maare aur Delhi ne 95 chhakke lagakar teesra sthan banaya tha

IPL 2018

First: Chennai Super Kings ne 145 chhakke lagakar pehla sthan hasil kiya tha

Second: Kolkata Knight Riders ne 133 chhakke lagakar dusra sthan hasil kiya tha

Third: Mumbai Indians ne 122 chhakke lagakar teesra sthan hasil kiya tha

Chennai Super Kings ne do saal ke ban ke baad wapsi ki aur trophy jeetne ke saath saath 145 chhakke lagaye Kolkata 133 chhakko ke saath dusre aur Mumbai 122 chhakko ke saath teesre sthan par rahi thi

IPL 2019

First: Kolkata Knight Riders ne 143 chhakke lagakar pehla sthan hasil kiya tha

Second: Mumbai Indians ne 135 chhakke lagakar dusra sthan hasil kiya tha

Third: Kings Xi Punjab ne 121 chhakke lagakar teesra sthan hasil kiya tha

Andre Russell ke toofani form ki badaulat KKR ne 143 chhakke lagaye aur pehla sthan paya Mumbai 135 chhakko ke saath dusre aur Punjab 121 chhakko ke saath teesre sthan par rahi thi

IPL 2020

First: Mumbai Indians ne 137 chhakke lagakar pehla sthan hasil kiya tha

Second: Rajasthan Royals ne 118 chhakke lagakar dusra sthan hasil kiya tha

Third: Kings Xi Punjab ne 108 chhakke lagakar teesra sthan hasil kiya tha

UAE me khele gaye is Ipl me Mumbai Indians sabse mazboot team bankar ubhari aur 137 chhakke maare Rajasthan Royals 118 chhakko ke saath dusre aur Punjab 108 chhakko ke saath teesre sthan par thi

IPL 2021

First: Chennai Super Kings ne 115 chhakke lagakar pehla sthan hasil kiya tha

Second: Kolkata Knight Riders ne 110 chhakke lagakar dusra sthan hasil kiya tha

Third: Rajasthan Royals ne 101 chhakke lagakar teesra sthan hasil kiya tha

Chennai ne chauthi baar trophy jeeti aur 115 chhakke lagakar pehle sthan par rahi KKR 110 chhakko ke saath dusre aur Rajasthan 101 chhakko ke saath teesre sthan par raha tha

IPL 2022

First: Rajasthan Royals ne 137 chhakke lagakar pehla sthan hasil kiya tha

Second: Lucknow Super Giants ne 115 chhakke lagakar dusra sthan hasil kiya tha

Third: Kolkata Knight Riders ne 113 chhakke lagakar teesra sthan hasil kiya tha

10 teamo ke aane ke baad Jos Buttler ki toofani batting se Rajasthan Royals ne 137 chhakke maare Nayi team LSG 115 chhakko ke saath dusre aur KKR 113 chhakko ke saath teesre sthan par thi

IPL 2023

First: Mumbai Indians ne 140 chhakke lagakar pehla sthan hasil kiya tha

Second: Royal Challengers Bangalore ne 132 chhakke lagakar dusra sthan hasil kiya tha

Third: Gujarat Titans ne 124 chhakke lagakar teesra sthan hasil kiya tha

Suryakumar Yadav aur Tim David ki aakramak batting ne Mumbai ko 140 chhakko tak pahunchaya RCB 132 chhakko ke saath dusre aur Gujarat 124 chhakko ke saath teesre sthan par rahi thi

IPL 2024

First: Sunrisers Hyderabad ne 178 chhakke lagakar pehla sthan hasil kiya tha

Second: Royal Challengers Bangalore ne 165 chhakke lagakar dusra sthan hasil kiya tha

Third: Delhi Capitals ne 135 chhakke lagakar teesra sthan hasil kiya tha

Heinrich Klaasen Travis Head aur Abhishek Sharma ke shandar form se Sunrisers Hyderabad ne 178 chhakke maare aur ek naya record banaya RCB 165 chhakko ke saath dusre aur Delhi 135 chhakko ke saath teesre sthan par raha tha

IPL 2025

First: Punjab Kings ne 173 chhakke lagakar pehla sthan hasil kiya tha

Second: Lucknow Super Giants ne 152 chhakke lagakar dusra sthan hasil kiya tha

Third: Rajasthan Royals ne 146 chhakke lagakar teesra sthan hasil kiya tha

Punjab Kings ke young players ne toofani intent dikhate huye 173 chhakke maare aur pehla sthan paya Lucknow 152 chhakko ke saath dusre aur Rajasthan 146 chhakko ke saath teesre sthan par thi

IPL 2026

First: Rajasthan Royals ne 181 chhakke lagakar pehla sthan hasil kiya hai aur ye sarvakalik record hai

Second: Sunrisers Hyderabad ne 171 chhakke lagakar dusra sthan hasil kiya hai

Third: Punjab Kings ne 148 chhakke lagakar teesra sthan hasil kiya hai

Saal 2026 me Rajasthan Royals ke taraf se Vaibhav Suryavanshi Ne total 72 six banaya tha poore tournament me aag lagai aur total team ke 181 chhakke thok kar Ipl itihas ka ek season me sabse zyada chhakke lagane ka all time record bana diya Hyderabad 171 chhakko ke saath dusre aur Punjab 148 chhakko ke saath teesre sthan par rahi

Ipl Itihas 2008 Se 2026 Tak Samagra Rup Se Sabse Zyada Chhakke Lagane Wali Top Teams Ka Total Hisab

Aaye ab jaane ki poore 19 saal ke Ipl itihas me sabhi matcho ko milakar kis team ne kul kitne chhakke lagaye hain aur kaun si team poore itihas ki sabse badi six hitting king team bankar ubhari hai

Rank 1: Mumbai Indians ne 2008 se 2026 ke beech kul 1963 chhakke lagakar pehla sthan hasil kiya hai

Rank 2: Royal Challengers Bengaluru ne 1938 chhakke lagakar dusra sthan hasil kiya hai

Rank 3: Punjab Kings aur Chennai Super Kings dono ne 1849 chhakke lagakar sanyukt roop se teesra sthan hasil kiya hai

Mumbai Indians poore Ipl itihas me 1963 chhakke thok kar sabse aage bani hui hai unke paas Kieron Pollard Rohit Sharma Hardik Pandya aur Suryakumar Yadav jaise vishal chhakke marne wale khiladi rahe hain Dusre sthan par RCB hai jinke paas Chris Gayle Virat Kohli aur AB de Villiers jaise legend batsmen the jinhone 1938 chhakke maare hain Teesre sthan par Punjab Kings aur Chennai Super Kings dono hi 1849 chhakko ke saath barabari par khadi hain

Special Message Ipl Or cricket fans ke liye

Aap sabhi cricket fans ko Cricspothindi.in ki taraf se ek khas message Ipl sirf ek tournament nahi balki hum sabhi cricket lovers ke liye ek tyohar hai Har season me jab maidaan par chhakke lagte hain toh stadium me maujood aur TV ke samne baithe lakho fans ka josh dugna ho jata hai Yeh data aur stats yeh dikhate hain ki Ipl me batting ka star har saal kitna aage badhta ja raha hai Aur fans ka yeh junoon hi Ipl ko duniya ki sabse badi aur lokpriya cricket league banata hai Aap apni favorite team ko aise hi support karte rahe aur har season chhakko ke is shandar romance ka anand lete rahe

Mera Apna Personal Prediction Aane Wale Seasons Ke Liye

Mera apna manna hai ki aane wale saalon me Ipl me chhakko ke yeh saare record aur bhi tezi se tootne wale hain Pehle jahan ek season me 100 chhakke marna badi baat hoti thi ab teamen ek season me 180 se 200 chhakke maarne ke kareeb pahunch chuki hain Naye young Indian players aur power hitters jis tarah se pehli hi ball se attack karne ki mentality ke saath aate hain usse lagta hai ki saal 2027 ya 2028 tak hum kisi ek team dwara 200 se zyada chhakke lagate huye dekh sakte hain Rajasthan Royals aur Sunrisers Hyderabad jaise teams ne jis aakramak cricket ki shuruat ki hai woh baaki teamo ko bhi apna batting style badalne par majboor karega

Aane Wala feature tabahi ka Manjar

Ipl 2008 se 2026 tak ka yeh 19 saal ka safar aakramak batting aur chhakko ke naam raha hai Jahan ek taraf saal 2026 me Rajasthan Royals ne 181 chhakke maarkadh ek season ka sabse bada record banaya hai wahi overall dekha jaye toh Mumbai Indians 1963 chhakko ke saath Ipl itihas ki sabse badi sixer king team bani hui hai RCB 1938 chhakko ke saath bilkul unke peeche hai Yeh data saaf zahir karta hai ki Ipl me power hitting ki ahmiyat kitni zyada hai aur aane wale saalon me fans ko aur bhi bade dhamake dekhne ko milenge bus ab aap apni favourite team comment Karke Hamen Jarur batana Apne cricket doston ke sath ya update share karna bilkul Bhi Mat bolna cricket Ki Har live update ke liye cricspothindi.in Sath Bane Raho 

          

                               ...Author: Shanu Tiwari... 

Comments

Popular posts from this blog

Ind vs NZ 2nd ODI Wellington Ke Samundari Jhonko Aur Hawaon Ke Beech Team India Ki Agnipariksha Aur 2nd ODI Se Pehle Ki Asli Mansik Jung

India vs West Indies 3rd T20 Indore Pitch Report Aur Playing 11 aaiae Jaan Lete Hain Kaun Jeet sakta hai 3rd T20 match

IPL इतिहास का सबसे बड़ा भूचाल: रो पड़े थाला धोनी! 18 साल की 'अमर जोड़ी' का हुआ दर्दनाक अंत, CSK फैंस के लिए आज का दिन बना 'ब्लैक डे'! 🚨😭