Yuzvendra Chahal ka bada elan red ball cricket ko kaha alvida
halanki sabse badi rahat ki baat yeh hai ki chahal aage bhi white ball cricket khelna jari rakhenge aur unka safed gend ke sath safar abhi chalta rahega unhone apna aakhri red ball mukabla lords ke maidan par Northampton shore ke liye khela tha jo ki unke career ka ek ahem pal raha
bachpan ka sapna aur red ball ka safar
jab life me pehli baar hath me cricket ball aayi thi tab umar sirf das saal ki thi aur tab yeh socha bhi nahi tha ki is khiladi ka is khel ke sath itna gehra lagav ho jayega red ball cricket unke liye sirf ek format nahi tha balki isne zindagi ke har mushkil daur me dat kar khade rehna sabr rakhna aur maidan par tike rehkar mehnat karna sikhaya hai
lords ke maidan par jab aakhri first class match khela ja raha tha tab woh ehsas kafi alag aur dil ko chhu jane wala tha test cap pehenna ka sapna bachpan se ankhon me basa tha jo chahe poora na ho saka ho lekin is pure safar se dil poori tarah santusht hai aur is format me mile har mauke ke liye dil se aabhar hai
team india se duri aur wapsi ka lamba intezar
pichhle kuch samay se yuzvendra chahal ka team india ki playing eleven se dur rehna kisi bhi sachhe fan ke liye dardnak raha hai jis khiladi ne apni jadui spin se bharat ko anginat mauko par match jitaye hain aur hamesha wicket nikal kar diye hain use lambe samay se bahar rakhna samajh se pare lagta hai
kya ab samay nahi aa gaya hai ki team management aur selectors ko unke anubhav ko dekh kar kisi ek format me unhe fir se mauka dena chahiye unke jaisa match winner khiladi agar bench par baitha rahe ya team se bahar rahe toh yeh cricket ke liye bhi kisi nuksan se kam nahi hai unke fans ke dil me abhi bhi wahi ummid baki hai ki woh blue jersey me maidan par wapas lauten aur apni ghumti hui gendo se fir se purana jadu bikherein
safar abhi baki hai white ball me lagegi puri jaan
safar yahi par thamne wala nahi hai kyunki abhi bhi desh ke liye maidan par utarne ki bhookh andar waisi hi zinda hai aur aur bhi jyada taqat ke sath ubhar rahi hai khud par poora bharosa hai ki abhi cricket kafi baki hai aur one day ya t20 format me jab bhi dobara mauka milega tab apni taraf se poori jaan laga di jayega
haryana cricket association aur sabhi bade seniors ka sath aur bharosa hi tha jisne har kadam par hausla banaye rakha aur is pure safar ko itna khubsurat banaya das saal ke bachhe se lekar aakhri first class match tak ka yeh pura rasta behad shandar aur yaadgar raha hai.
Aapki kya rai hai chahal ke career ko lekar
kya woh abhi aur lamba khel sakte the apni rai zaroor share karein aur apne cricket lover doston ko yeh breaking news share karna bilkul bhi na bhulein cricket ki har live update sport ke har romanchak kisson ke liye hamare sath bane rahein
...Author: Shanu Tiwari...
Comments
Post a Comment