India Vs New Zealand 1st ODI Match Eden Park Ke Chote Maidan Par Dressing Room Ki Khufiya Mansik Jung Aur Asli Imtihan
Cricket ke maidan par jab bhi India aur New Zealand ki teamen aamne samne hoti hain toh aam darshakon ko lagta hai ki yeh sirf chauke chhakko aur runo ka ek aam mukabla hai
Lekin asli kahani toh us 22 yard ki patti par utarne se kai ghante pehle stadium ke un andruni band darwazo ke piche shuru ho jati hai jise badi bhasha me psychological warfare kaha jata hai
T20 series ke romanchak safar ke baad ab dono teamen 5 matcho ki lamba ODI series ke pehle padaav par aakar khadi hain aur auckland ka famous eden park maidan is itihasik ladai ka gawah banne ja raha hai
Waha ke local halaat aur pitch report ki baat karein toh auckland ke eden park ki pitch shuruwat me tez gendbaazo ko acchi swing aur bounce deti hai jisse top order ke ballebaazo ke liye pehle kuch over nikalna ek kadi chunauti ban jata hai
Eden Park ka ground apne chote boundaries ke liye duniya bhar me famous hai jahan thoda sa bhi edge lagne par ball seedha darshakon ke beech jaakar girti hai aur yahi wajah hai ki captain ke liye toss jeetkar pehle gendbaazi ya fielding ka faisla lena unke dimaag par ek bhari mansik dabav daal deta hai
Dressing room ke andar ki tasveer dekho toh captain shubman gill aur senior khiladi rohit sharma aur virat kohli ke kandho par is nayi series ki shuruwat jeet ke sath karne ka ek alag hi darr aur dabav bana hua hai kyunki aage aane wali 2 matcho ki test series se pehle senior khiladiyo ke liye yeh shuruwati teen ODI matches rhythm hasil karne ka sabse bada zariya hain
Is shuruwati teen matcho me seniors apna pura zor lagayenge jiske baad aane wale test mukablo ke liye jab diggajo ko rest diya jayega tabhi shreyas iyer ke haath me kaptani ki kamaan aane aur ishan kishan ko vice captaincy milne ki ranniti par kaam hoga jabki ruturaj gaikwad aur tilak verma jaise yuva khiladiyo ko us dauran 4 number par mauka milne ki sambhawana banega
Dusri taraf mitchell santner ki aguwai me new zealand ki team apne hi ghar me pure aatmavishwas ke sath utregi aur unke pas khone ke liye kuch nahi hai balki har palatwar ke sath wo bharat ko dabav me lane ki poori koshish karenge
Probable Playing 11 ki baat karein toh bharat ki taraf se shubman gill aur rohit sharma opening ka morcha sambhalenge teesre number par virat kohli chauthe par shreyas iyer aur panchwe number par kl rahul wicketkeeper ke roop me maidan par dikhenge
All-rounder department me ravindra jadeja aur axar patel team ko behtareen santulan denge jabki spin aur fast bowling me kuldeep yadav arshdeep singh aur mohammed siraj ki trikon jodi kiwi ballebaazo ke liye sabse bada sir dard sabit ho sakti hai
Wahi new zealand ki playing xi me devon conway tim seifert daryl mitchell aur captain mitchell santner khud maidan par ek aisi ranniti ke sath utrenge jisse shuruwat me hi bharat ko bada jhatka diya ja sake
Match subah 7:30 AM shuru hoga aur live streaming sony sports network par dekhne ko milegi jahan english me sony sports 1 aur 5 hindi ke liye sony sports 3 aur regional bhashaon ke liye sony sports 4 par nigahen tiki hongi jabki mobile par sony liv ya airtel xstream play par iska anand liya ja sakega
Cricket sirf bat aur ball ka khel nahi hai balki yeh dimaag ki us khamosh ladai ka naam hai jahan har khiladi apne andar ke dar se roz jung lad raha hota hai
Hamara Personal Ray Aur Dressing Room Ki Asli Sachai
Hamara vyaktigat ray ke anusar auckland ke is pehle ODI me wahi team vijayi hogi jo is bade dabav aur maidan ke chote aakar ke beech apne dimaag ko shant rakhakar sahi samay par sahi faisla legi kyunki skill ke sath mental toughness hi asli jeet ki chaabi hota hai
Cricket Fans Ke Khas Message Aur Sawal
Cricket fans aapke anusar kya shubman gill ki captainai me team india eden park ki is chunauti ko paar karke pehle match me vijay ka parcham lahra payegi ya new zealand apne ghar par pehla war karke sabko hairan kar dega apna yeh javab comment karke zaroor batayein
...Author: Shanu Tiwari...

Comments
Post a Comment