India vs New Zealand 5th T20I Seddon Park Hamilton Tims Ka Palatwar Aur Bharat Ki Haar Ke Baad Bhi Series Fateh Ka Jashn
Ind vs NZ 5Th T20 Hamilton Ke Seddon Park Maidan Par 1 November 2026 Ko Khele Gaye Is Romanchak Paanchve T20 Mukable Me New Zealand Ne Shandar Pradarshan Karte Huwe Bharat Ko 7 Wickets Se Hara Diya Halanki Is Haar Ke Bavjood Bharatiya Team Ne Yeh T20 Series 3-2 Se Apne Naam Kar Li
Match Ki Shuruwat Toss Aur Bharat Ki Pehli Inings Ka Toofani Safar
Is Aakhiri T20 Mukable Me New Zealand Ne Toss Jeet Kar Pehle Gendbazi Karne Ka Faisla Kiya Aur Bharat Ko Pehle Ballebazi Ke Liye Nawtah Diya
Pehle Ballebazi Karte Huwe Bharat Ki Shuruwat Behrakhar Rahi Jaha Sanju Samson Ne Sirf 4 Ran Banaye Aur Abhishek Sharma Sirf 1 Ran Banakar Out Ho Gaye
Lekin Iske Baad Ishan Kishan Aur Captain Shreyas Iyer Ne Morcha Sambhala Ishan Kishan Ne 32 Gendo Par 5 Chauke Aur 5 Chhakke Lagakar 61 Ranso Ki Dhadkane Badhane Wali Pari Kheli Wahi Captain Shreyas Iyer Ne Sirf 23 Gendo Par 3 Chauke Aur 4 Chhakke Jaddkar 50 Ranso Ki Toofani Ardhshatakiy Pari Kheli
Inke Alawa Tilak Varma Ne 6 Ran Banaye Nehal Dhir Ne 23 Gendo Par 33 Ran Banaye Nitish Kumar Reddy Ne 22 Ran Banaye Bhuvneshwar Kumar Ne 6 Ran Banaye Ravi Bishnoi 0 Par Na-Bawad Rahe Aur Arshdeep Singh Ne 1 Ran Banaya Jisse Bharat Ne 20 Overo Me 8 Wicket Khokar 191 Ranso Ka Majboot Score Khada Kiya
New Zealand Ki Gendbazi Aur Adam Milne Ka Khaufnak Spell
Bharat Ki Inings Me New Zealand Ki Taraf Se Jacob Duffy Ne 3 Over Me 27 Ran Diye Adam Milne Ne Sabse Khatarnak Gendbazi Karte Huwe 4 Over Me Sirf 19 Ran Dekar 4 Bade Wicket Chatkaye Nathan Smith Ne 2 Wicket Liye Blair Tickner Ne 2 Wicket Liye Mitchell Santner Aur Michael Bracewell Ko Koyi Wicket Nahi Mila
New Zealand Ki Ballebazi Aur Tim Seifert Ki Vidhwanshak Pari
292 Ranso Ke Lakshe Ka Picha Karne Utri New Zealand Ki Team Ne Shuruwat Se Hi Haath Khol liye Finn Allen Sirf 2 Ran Banakar Arshdeep Singh Ka Shikar Bane Lekin Tim Seifert Ne Maidan Par Aag Laga Di
Tim Seifert Ne Sirf 50 Gendo Par 11 Chauke Aur 5 Chhakke Lagakar 93 Ranso Ki Vidhwanshak Pari Kheli Daryl Mitchell Ne 29 Ran Banaye Aur Glenn Phillips Ne 38 Gendo Par 3 Chauke Aur 3 Chhakke Jaddkar 65 Ranso Ki Na-Bawad Pari Kheli Brayden Jacobs 1 Ran Banakar Na-Bawad Rahe
New Zealand Ne 18 Overo Me Hi 3 Wicket Khokar 195 Ran Bana Liye Aur Mukabla 7 Wickets Se Jeet Liya
Bharat Ki Gendbazi Aur Haar Ki Vajah
Bharat Ki Taraf Se Gendbazi Me Bhuvneshwar Kumar Ne 4 Over Me 41 Ran Diye Arshdeep Singh Ne 1 Wicket Li Ravi Bishnoi Ne 3 Over Me 35 Ran Diye Varun Chakaravarthy Ne 1 Wicket Li Nitish Kumar Reddy Ne 1 Wicket Li Aur Abhishek Sharma Ne 1 Over Me 13 Ran Diye
Bharat Ki Haar Ki Sabse Badi Vajah Death Overs Me Gendbazi Ka Kamjor Parna Aur Tim Seifert Ki Khadak Ballebazi Ko Rokne Me Asafal Rahna Rahi New Zealand Ne Dabaav Me Behtairen Khel Dikhaya
Player Of The Match Aur Player Of The Series Ka Khitab
Is Romanchak Mukable Me Apni Mharak Gendbazi Se Bharat Ki Ballebazi Ki Kamar Todne Wale Adam Milne Ko Player Of The Match Chuna Gaya Jinhone 4 Over Me Sirf 19 Ran Dekar 4 Wicket Jhatke Wahi Puri Series Me Apni Lagatar Shandar Ballebazi Aur Khel Se Prabhit Karne Wale Glenn Phillips Ko Player Of The Series Ka Puraskar Diya Gaya
Hamara Personal Ray Aur Series Ka Anant
Hamara Ray Ke Anusar Bharat Ne Yeh Series Pehle Hi 3-2 Se Apne Naam Kar Li Thi Isliye Is Aakhiri Match Me Thodi Dheelaipan Dekhne Ko Mili Lekin New Zealand Ne Palatwar Karke Saabit Kar Diya Ki We Haar Maanane Walo Me Nahi Hai
Cricket Fans Ke Liye Khas Message Aur Sawal
Cricket Fans Aapke Anusar Is Aakhiri T20 Me Bharat Ki Haar Ka Asli Villian Kaun Raha Adam Milne Ki Gendbazi Ya Tim Seifert Ki Toofani Ballebazi Apna Jawab Comment Karke Zaroor Batayein Aur Team India Ki Series Jeet Par Aap ko kya lgta hai Kis ke vajah se series India ne jeeta hai
...Author: Shanu Tiwari...

Comments
Post a Comment